20vi sadi ki ek vaishvik bimaari ke roop mein, hum aaj bhi mann ki shanti ko samajhne mein asamarth dikhai dete hain. Vartamaan yug ke uchch karyakramon, aadarshon aur mulyon ko madhyam banaakar humne panch-tatvon ko bhi aitihasik roop se apna adh...
20vi sadi ki ek vaishvik bimaari ke roop mein, hum aaj bhi mann ki shanti ko samajhne mein asamarth dikhai dete hain. Vartamaan yug ke uchch karyakramon, aadarshon aur mulyon ko madhyam banaakar humne panch-tatvon ko bhi aitihasik roop se apna adhikaar samajh liya hai. Aise samay mein apni kalpanik shaktishali soch, sankirn swarth aur ahankar ke kaaran maanav apne aap ko ishwar ki satta ka adhikari maan baitha hai, jaise yeh sab use kisi divya anudaan ke roop mein prapt hua ho. Is daud mein hum apni paramparaon ko tahas-nahas kar rahe hain aur vigyan ke sahare param saubhagyashaali hone ke bajay uski bhautik chetna ka durupyog kar rahe hain.Jaan-bujhkar maanav vigyan ki divya kriya-pranaaliyon ko apne alag-alag prayojanon ke liye dhwans karne par tula hua hai, jiska prabhav prakriti ki muskurati muskaan par spasht dikhai deta hai. “Atmavat sarvabhuteshu” jaise mool siddhanton par chalne wala jagat apni hansi-khushi kho kar dheere-dheere deen aur heen hota ja raha hai. Isi ghatna-kram mein maanav-krit lab rasayan se utpann Covid-19 jaise sankat ne apne mool uddeshyon ko bhramit karte hue jeevan ko peeda aur asmanjas ki bhatti mein jhonk diya. Corona ke is kathin kaal ne samay ko dukhon ke phawware mein badal diya, phir bhi is sankat ke dauraan maanav ne apni paraspar manavta, seva aur kalyaan-kari bhaavna ko poori tarah nahi chhoda aur kai manav-hitkari karyon ko anjaam diya.