Yeh pustak rachnaon ka ek aisa guldasta hai jismein jeevan ke har rang ke phool samaye hue hain. Ismein baalyakaal se vriddhavastha tak mann mein uthne wale bhaav—asha-aakanksha, harsh-vishad, hatasha-nirasha—ka sundar chitran milta hai. Tee...
Yeh pustak rachnaon ka ek aisa guldasta hai jismein jeevan ke har rang ke phool samaye hue hain. Ismein baalyakaal se vriddhavastha tak mann mein uthne wale bhaav—asha-aakanksha, harsh-vishad, hatasha-nirasha—ka sundar chitran milta hai. Teej-tyohaar, pooja-paath mein mann ka lagna, aur phal ki ichchha ke bina karm mein poori nishtha se jut jana—yeh sab jeevan moolyon ko spasht roop se darshata hai. Pustak ka mool uddeshya yeh batana hai ki kaam, krodh, lobh aur moh se upar uthkar, bina bhay aur sankoch ke apne kartavya ka nirvah kaise kiya ja sakta hai. Saath hi, swayam mein aur poori srishti ke har jeev-pran mein vyapt us param tattva ko samajhne ka ek sachcha aur swatah-sphoort prayas is karya mein kiya gaya hai.