Yeh kehte hue sunne mein aata rehta hai ki kalam ke zariye kore kagaz par shabd jo utarte hain, woh shabd saamaanya nahin hote hain, balki ek rachnakar ka antarman hota hai, jisko woh apni lekhani ke dvara jag jaahir karta hai! Isliye kehte hain k...
Yeh kehte hue sunne mein aata rehta hai ki kalam ke zariye kore kagaz par shabd jo utarte hain, woh shabd saamaanya nahin hote hain, balki ek rachnakar ka antarman hota hai, jisko woh apni lekhani ke dvara jag jaahir karta hai! Isliye kehte hain ki "jahan na pahunch paaye Ravi, wahan pahunch jaata hai kavi".......!!Kalam mein woh ek ajeeb si roshni hoti hai jo samaaj ke andhkaar mein chamak paida kar deti hai, arthaat samaaj mein phaili hui naana prakaar ki bhraantiyan, kaala timir aur agyaanta ko hata kar roshan kar diya karti hai......!!Shabdon ki goonthi hui ladiyaan jab samaaj ke gale mein sajti hain tab samaaj ke beech vyaapt kuritiyon ko nasht kar dete hue apni sugandh chaaron or bikher deti hain! Sugandh ki us khushboo se saara jahan jagmaga uthta hai aur gyaan Ganga ki aviral dhaara behne lagti hai.......!!Ek kavi ke khayalat chahe kaavya mein ho ya phir pady mein, dono paddhati samaaj sudhaarak hain aur samaaj ke madhya uttam gunvatta wale achhe sandesh deti hain, jisse swasthya maanasikta ka vikaas hota hai! Antarman ko chhoo lene wale shabd hriday ki gehraiyon se takra kar insaan ki maanasikta ko sahi disha nirdesh diya karte hain......!!Main samajhta hoon ki ek achha sahitya samaaj ka sarvashreshth sakha hai, aur sakha saral, spasht aur sahaj hota hai! Antarman pustak mein aise hi shabdon ka prayog kiya gaya hai jisse samaaj ko achhi prerna mile.......!!