Prastut pustak "Bhasha Abhivyakti aur Madhyam - Ek Samagra Drishtikon" kaksha 11vi evam 12vi ke vidyarthiyon ke liye Hindi bhasha ke rachnatmak, vyavaharik evam sanprashneey paksh ko saral aur sulabh roop mein prastut karne ka ek vinamr ...
Prastut pustak "Bhasha Abhivyakti aur Madhyam - Ek Samagra Drishtikon" kaksha 11vi evam 12vi ke vidyarthiyon ke liye Hindi bhasha ke rachnatmak, vyavaharik evam sanprashneey paksh ko saral aur sulabh roop mein prastut karne ka ek vinamr prayaas hai. Yah pustak C.B.S.E. tatha Haryana Rajya Shiksha Board ke naveenatam pathyakram evam N.C.E.R.T. ki rooprekha ke anuroop taiyaar ki gayi hai.Aaj ka yug jansanchar aur rachnatmak abhivyakti ka yug hai. Shiksha keval pathya gyaan tak seemit nahin rah gayi hai, balki abhivyakti ki kala aur vyavaharik lekhan kaushal bhi utne hi aavashyak ban gaye hain.Is pustak mein chhatron ko sanchar ke vivid roopon, patrakarita ke siddhanton, radio evam TV lekhan, samvaad nirmaan, kavita evam kahani lekhan, vishesh lekhan, diary, naatya roopantaran, aavedan patra, swavritt, tipanni aur prativedan aadi sabhi aavashyak vishayon ko vyapak roop mein shaamil kiya gaya hai.Pustak ki bhasha sahaj, pravaahmayi aur vidyarthi ki samajh ke anuroop rakhi gayi hai. Udaharanon evam abhyason ke madhyam se chhatron ke lekhan evam chintan ko disha dene ka prayaas kiya gaya hai. Pratyek adhyay gyaanatmak ke saath-saath vyavaharik drishtikon ko dhyaan mein rakhkar taiyaar kiya gaya hai.Hamein aasha hai ki yah pustak vidyarthiyon, shikshakon aur pratiyogi parikshaon ki taiyaari kar rahe abhyarthiyon ke liye samaan roop se upyogi siddh hogi.Lekhak ka aabhaar sabhi shikshavidon, vidyarthiyon aur margdarshakon ke prati jinki prerana, sujhav aur vishwas se yah karya sambhav ho paaya.