Bhav samarpan koi rachna nahi, maatr meri bhavnaon ki abhivyakti hai. Jab jo bhav aaya, jitna ho saka lipibaddh kiya isliye bhasha shaili, vyaakaran aadi ki samast trutiyon ki marjna chahti hoon. Shri Krishna mujhe bachpan se hi aakarshit ka...
Bhav samarpan koi rachna nahi, maatr meri bhavnaon ki abhivyakti hai. Jab jo bhav aaya, jitna ho saka lipibaddh kiya isliye bhasha shaili, vyaakaran aadi ki samast trutiyon ki marjna chahti hoon. Shri Krishna mujhe bachpan se hi aakarshit karte rahe. Unki madhur muskaan, vanshi vaadan, makhan chor kehlana bahut pyaara tha, kaalchakra aisa chala ki unka bachpan se jangal mein bhatak kar gaiyya charana, Kans dwara bheje gaye raakshason ka vadh, phir muskurate hue Vrindavan se vida lena, hriday ko vyathit kar gaya. Unka muskurate hue har vipatti ka saamna karne ka udaharan mere jeevan ka aadarsh ho gaya. "Dard Krishna ka" aur "Aaya sandesh sthaanantaran ka" Krishna ke Vrindavan chhodne ke samay ke manobhav par aadharit hain. "Kala kitna kala paani" ka bhav bahut maarmik hai. Andaman saagar ka lubhaavna paani kala paani kyon, Port Blair ke Cellular Jail mein raaj khula! Deewaron par ankit shaheedo ke naam, Veer Savarkar ki tang aur andheri kaal kothri. Mohit, Mohan, Mahavir jaise veeron dwara anshan todne ka jaleemon ka prayaas viphal kar praan tyaag dena, aise anginat ullikhon se khoon khol gaya. "Kahani Zindagi ki" mere ek mitr ki vibhajan ke dard ko vyakt karti satya ghatna hai. "Sunn le pukar" ek mitr ki patni ke maranaasann avastha mein prarthna ki hai. "Aas" mere pati ki cancer se sangharsh ke samay ka manobhav hai. Inka sandarbh na doon to mere dil ke bhav kisi tak pahunch nahi paayenge, keval mujh tak hi seemit rahega.