Soch ke samundar mein 'Guzarta Waqt' ek chhota sa kavita ka kitaab hain, jise maine bahut gehrayi ke sath likha hain. Waqt mein hum sab kahin gum se ho gaye hain, iske karan hum apne rishte ko nibha nahi pa rahe hain. Apni zindagi ke kisson mein k...
Soch ke samundar mein 'Guzarta Waqt' ek chhota sa kavita ka kitaab hain, jise maine bahut gehrayi ke sath likha hain. Waqt mein hum sab kahin gum se ho gaye hain, iske karan hum apne rishte ko nibha nahi pa rahe hain. Apni zindagi ke kisson mein khud ko bhool baithe hain; 'Guzarta Waqt' aise kavitayein hain jaise koi purani zindagi ko dhool se hatakar, phir se sab kuch yaad dilaye. Main apni sari guzri yaadon ko phir se jeene ki chah mein kavita se vyakt karta hoon. Jaise beeti hui kal aur aane wale kal ke beech mein, hum jo zindagi jeete hain, woh bahut adhura sa hain. Logon ki zindagi mein baat-chit mein kami ho gayi hain, jaise sab apne apne kaamon mein vyast ho gaye hain. Maine khud ko logon se bahut door kar liya hain, iske karan main adha adhura sa ho gaya hoon. 'Guzarta Waqt' ne mere liye roshni dikhaya hain aur mujhe andhere se bahar nikala hain.