PrastaavnaManav jeevan ki sabse badi vidambana yeh hai ki woh baahry jagat ko jaane mein jitni ruchi rakhta hai, aatma-chetna ko utni hi upeshit kar deta hai. Hum apne bhitar ke jhingur ko pehchaanne mein asamarth rahte hain—wahi jhingur jo humari...
PrastaavnaManav jeevan ki sabse badi vidambana yeh hai ki woh baahry jagat ko jaane mein jitni ruchi rakhta hai, aatma-chetna ko utni hi upeshit kar deta hai. Hum apne bhitar ke jhingur ko pehchaanne mein asamarth rahte hain—wahi jhingur jo humari chetna ko sankirnataon mein jakadkar humein kuntit, bhay-grast aur jad bana deta hai. Prastut kruti "Jhingur" is antarnihit mansikta ka ek sahityik vishleshan hai, jismein lekhak ne samaj ki ruddhiyon, dharmik aadambaroon aur paramparayon ke naam par poshit kuprathaon ko atyant paini drishti se ukhera hai.Yeh kruti keval samaj ki visangatiyon ki alochana bhar nahi hai, balki ek vaicharik yatra bhi hai—dharmik aastha se lekar samajik vidroopataon tak, aatma-khoj se lekar samajik vidroh tak. Lekhak swayam Rajasthan ke us tapte marusthal se aate hain, jahan suvidhaon ka abhaav aur paramparagat ruddhiyon ka aadhipaty vyapt hai. Unhone jeevan ko keval dekha nahi, balki aatmsaat kiya hai; samaj ko keval samjha nahi, uski visangatiyon ko apne marm se anubhoot kiya hai."Jhingur" keval ek pustak nahi, balki ek vaicharik pravah hai. Yeh un sadandh maarti paramparayon par prahaar karti hai jo manushya ki chetna ko seemit kar deti hain. Yeh un dharmik yatraon ka lekha-jokha bhi hai, jahan lekhak ne keval teerth nahi kiye, balki un teerthon ke bhitar gehre dhanse samajik paakhandon ko bhi ujagar kiya. Yeh kruti un kuritiyon ki padhataal karti hai, jo dharmikta ke aavaran mein sadiyon se phalti-phoolti aayi hain.Pustak ka kendriya patra "Jhingur" manav-man ke bhitar maujood un vicharon, dhaarnaon aur samajik prabhavon ka pratinidhitva karta hai, jo uski chetna ko kuntit kar dete hain. Yeh jhingur kahin bhay ke roop mein hai, kahin andhvishwas ke roop mein, kahin jaatwad mein to kahin dharmik aadambaroon mein. Lekhak ne is pratik ke madhyam se yeh siddh karne ka prayas kiya hai ki jab tak manushya apne bhitar ke jhingur ko nahi pehchanta aur usse nishkasit nahi karta, tab tak woh na poorn roop se dharmik ho sakta hai, na swatantra."Jhingur" mein darshan, yatharth aur sahityik chetna ka samanvay hai. Ismein shabd keval bhasha ka madhyam nahi hain, balki woh samaj ke bhitar chhype asal sawalon ko uthane ka ek auzaar hain. Yeh kruti na keval padhne, balki aatmchintan aur aatmanthan karne ki maang karti hai. Yadi yeh pustak pathakon ko unke bhitar ke jhingur se parichit kara sake aur unhe us jhingurpann se mukt hone ki disha mein prerit kar sake, to ise apni safalta ka paryay manunga.