Know Your Soldiers: The Heroes Behind The Nation's Strength
by
| 18-Feb-2025
(0)
Yeh kitab Bharatiya sena ke sainik ke jeevan ki sachchi aur vyaktigat yatra ko darshati hai, jismein uske sangharsh, balidan, aur kabhi-kabhi behad khushi ke pal bhi shamil hain. "Apne Sainik Ko Jaano" (Know Your Soldier) kitab mein maine apni kah...
Yeh kitab Bharatiya sena ke sainik ke jeevan ki sachchi aur vyaktigat yatra ko darshati hai, jismein uske sangharsh, balidan, aur kabhi-kabhi behad khushi ke pal bhi shamil hain. "Apne Sainik Ko Jaano" (Know Your Soldier) kitab mein maine apni kahani ke madhyam se Bharatiya sainik ke jeevan ke vibhinn pehluon ko saanjha kiya hai. Yeh kitab sirf ek sainik ki drishti se nahi, balki ek Bhartiya ke drishti se likhi gayi hai, jo humare desh ki sena ko samajhne aur usse sarahne ka ek prayas hai.Is kitab mein aap mere pehle safar se lekar sena ki kathin dincharya, khanpaan, neend, kaam ki jimmedariyan, vetan aur promotion tak ki kahaniyan padhenge. Sainikon ke maansik aur shaareek sangharshon ko darshate hue, maine in sabhi adhyayon ke madhyam se sainik jeevan ke sangharshon ko ujagar kiya hai, wahin "khushi ke pal" aur "bada khana" jaise adhyayon mein jeevan ke halke aur khoobsurat lamhon ko bhi dikhaya hai.Hamare jeevan mein retirement, canteen ki bhumika, aur sainik ke swaasthya ki dekhbhaal jaise chhoti-chhoti baatein bhi is kitab ka hissa hain, jo shayad aam taur par dhyaan mein nahi aati, lekin ek sainik ki zindagi mein inka bahut mahatva hai. Yeh kitab na sirf sena mein seva de rahe vyaktiyon ke liye, balki sabhi pathakon ke liye ek prerna aur gyaan ka srot ban sakti hai. Umeed hai ki yeh pustak aapko Bharatiya sainikon ke prati samman aur samajh ko aur gehra karegi, aur aapko unki kathinaiyon, balidan aur seva ke mahatva ko mehsoos karne ka avsar milega.