Pustak "Mahakumbh Kyon Aur Kyon Nahin?" mein Mahakumbh 2025 se jude vibhinn pehluon ka vishleshan karne ka prayaas kiya gaya hai. Mahakumbh Bharat ki sabse prachin dharmik paramparaon mein se ek hai, jiska aitihaasik, pauranik aur saanskritik maha...
Pustak "Mahakumbh Kyon Aur Kyon Nahin?" mein Mahakumbh 2025 se jude vibhinn pehluon ka vishleshan karne ka prayaas kiya gaya hai. Mahakumbh Bharat ki sabse prachin dharmik paramparaon mein se ek hai, jiska aitihaasik, pauranik aur saanskritik mahatva bahut gahra hai. Yah aayojan hazaaron varshon se Hindu dharm aur Bharatiya samaaj mein ek vishesh sthal rakhta hai.Mahakumbh ka varnan vibhinn Hindu granthon, jaise ki Puraanon (vishesh roop se Skand Puraan aur Bhagwat Puraan) mein milta hai. Yah mela Bharatiya sanskriti ka ek advitiy parv hai, jo na keval aadhyatmikta balki saanskritik ekta ka bhi prateek hai. Mahakumbh Bharat ki prachin paramparaon aur saanskritik dharohar ko jeevant banaye rakhne mein bhi ek mahatvapurna bhoomika nibhata hai.Dharmik aasthaon ke saath-saath aadambar ka samikaran hona Mahakumbh 2025 ka ek anokha pehlu raha. Mahakumbh mein Sanatan Hindu dharm ke vibhinn panthon — jaise ki Shaiv, Vaishnav aur Dashnaami sampradayon ke beech dharmik siddhaanton aur anushthanon ko lekar matbhed ubhar kar aaye hain.Pustak mein dharmik aadambar aur social media ke paraspar sambandh ka bahut hi gambheerta se manthan kiya gaya hai.Is pustak mein vibhinn drishtikonon se Mahakumbh ke aayojan ko dekha gaya hai aur unka vishleshan karne ka prayaas kiya gaya hai. Kuch pramukh vishayon mein shaamil hain: Mahakumbh parv ka dharmik aur saanskritik mahatva, paryavaran par padne wale prabhav, aadhunikta, social media aur dharmik varchasv jaise mahatvapurna mudde