Prastut pustak 'Navodit Bhartiya Samaj Mein Shiksha aur Shikshak' ek aisi pustak hai jo shiksha ke mool tatvon ko samajhne aur samjhane ka ek prayaas hai. Is pustak ke madhyam se pathako ko keval pustaki gyaan nahi, balki shiksha ke gehraai se art...
Prastut pustak 'Navodit Bhartiya Samaj Mein Shiksha aur Shikshak' ek aisi pustak hai jo shiksha ke mool tatvon ko samajhne aur samjhane ka ek prayaas hai. Is pustak ke madhyam se pathako ko keval pustaki gyaan nahi, balki shiksha ke gehraai se arth, uski samajik upyogita aur jeevan mein uski bhoomika ka bhi gyaan hota hai. Shiksha keval pareekshaon ke liye ya naukri ke liye nahi hoti, balki ek vyakti ko sanvedansheel, samajhdar aur zimmedaar nagrik banane ka madhyam hai.Vartaman samay mein jab shiksha vyavsayik aur sankuchit drishtikon mein simat rahi hai, tab aisi pustak humein yaad dilati hai - manavta ka vikas, samajik sanvedna ka nirmaan aur jeevan ke moolyon ka sanrakshan.Yeh pustak D.Ed. ke prashikshako, shikshako aur shiksha mein ruchi rakhne wale sabhi logon ke liye upyogi hai. Aasha hai ki yeh pustak aap sabhi ke mann aur vichardhara ko prerit karegi.Ant mein hum apna aabhaar Dr. Sanjeeta Kumari, Upnideshika, Grizzly College of Education ki or prakat karna chahte hain ki unki maargdarshan aur protsahan ka hi pratifal hai ki yeh pustak prakashit ho rahi hai. Saath hi is pustak ke prakashan mein mata-pita, gurujan aur Ishwar ka pratyaksh aur apratyaksh roop se sahyog raha hai, jinka hum sabhi aabhaari hain.Is pustak ke lekhan mein koi galti ya kisi prakar ki truti reh gayi ho to dhyaan aakrisht karne ki kripa karein taaki agle sanskaran mein sanshodhan ke saath prakashit ki ja sake.Dhanyavaad!