Shri Vidya ko sabhi Mahavidyaon mein sabse vistrit aur jatil maana jaata hai. Aisa kaha jaata hai ki iski sadhana karne waale sadhak ko sabhi Mahavidyaen siddh ho jaati hain, yatha Kali, Kamala, Bhuvaneshwari, Matangi, aur Bhairavi. Ye parampara g...
Shri Vidya ko sabhi Mahavidyaon mein sabse vistrit aur jatil maana jaata hai. Aisa kaha jaata hai ki iski sadhana karne waale sadhak ko sabhi Mahavidyaen siddh ho jaati hain, yatha Kali, Kamala, Bhuvaneshwari, Matangi, aur Bhairavi. Ye parampara gupt anushthan aur shaktishaali mantron se pooree hui hai, jo aapki chetana ko jagrit kar brahmand se ekikaran karne ki kshamta rakhti hai.Ye pustak in gahan sadhnaon ko saral aur sahaj anubhagon mein vibhajit karke prastut karti hai, jisse inhe samajhna aur apne jeevan mein apnaana sarl ho jaata hai. Sadiyon se ye gupt shikshaen ek gupt dharohar ke roop mein sanrakshit theen aur keval kuch hi logon ko sulabh theen. Lekin is pustak mein, Shri Vidya ki sabse jatil dharanaon ko atyant saralta se prastut kiya gaya hai ki nishtavahan sadhak unhe aasaani se samajh sake. Chahe aap sadhana ke marg par nae ho ya apni sadhana ko aur adhik gahrai dena chahte ho, is pustak mein aapko moolyavan antardrishti aur vyavaharik margdarshan avashya milega.