Yeh pustak ‘Shiksha Manovigyan’ D.El.Ed. pathyakram ke uddeshyon ko dhyan mein rakhkar taiyaar ki gayi hai. Is pustak ka uddeshya hai ki aap prathamik star ke vidyarthiyon ki mansik, bhavnatmak, samajik aur bauddhik avashyaktaon ko behtar tareeke ...
Yeh pustak ‘Shiksha Manovigyan’ D.El.Ed. pathyakram ke uddeshyon ko dhyan mein rakhkar taiyaar ki gayi hai. Is pustak ka uddeshya hai ki aap prathamik star ke vidyarthiyon ki mansik, bhavnatmak, samajik aur bauddhik avashyaktaon ko behtar tareeke se samajh sakein.Shikshan sirf vishayon ki jankari dena nahi, balki vidyarthiyon ki soch, vyavhaar aur vikas ko samajhte hue unhe disha dena bhi hai. Is pustak mein baal vikas, adigam siddhant, prerna, vyaktitva, buddhi, abhiruchi, samaayojan aadi vishayon ko saral bhaasha mein prastut kiya gaya hai, taaki D.El.Ed. prashikshu inhe aasani se samajh sakein aur vyavaharik roop mein lagu kar sakein. Hamara prayaas raha hai ki yeh pustak na sirf pariksha ke liye upyogi ho balki aapke shikshak jeevan ki majboot neev bhi bane.Ant mein, hum apna aabhaar Dr. Sanjeeta Kumari, Upnideshika, Grizzly College of Education ki or prakat karte hain, ki unke margdarshan aur protsahan ka hi pratifal hai ki yeh pustak prakashit ho rahi hai. Saath hi, is pustak ke prakashan mein mata-pita, gurujan aur Ishwar ka pratyaksh aur apratyaksh roop se sahyog raha hai, jinke hum sabhi aabhaari hain.Is pustak ke lekhan mein koi galti ya kisi prakar ki truti reh gayi ho toh kripya dhyaan akarshit karne ki kripa karein, taaki agle sanskaran mein sanshodhan ke saath prakashit ki ja sake.