Aapke haathon mein mera yah pehla kavita-sangrah Yaadon ka Roshndan hai, jo mere hriday ke komaltam bhavon, anubhavon aur chintan ka parinaam hai. In kavitāon mein jeevan ke vividha rang, samaaj ki sanvedanaayein, prakriti ki sugandh aur...
Aapke haathon mein mera yah pehla kavita-sangrah Yaadon ka Roshndan hai, jo mere hriday ke komaltam bhavon, anubhavon aur chintan ka parinaam hai. In kavitāon mein jeevan ke vividha rang, samaaj ki sanvedanaayein, prakriti ki sugandh aur aatma ki pukaar samaahit hai.Lekhan mere liye keval shabdon ka kram nahin, balki aatma-abhivyakti ka maadhyam hai. Ye rachnaayein meri nijee yaatraaon ki saajhi smritiyaan hain—kabhi prashn hain, kabhi uttar; kabhi peeda hai, to kahin prem ki abha.Main aasha karta hoon ki ye kavitayein aapke hriday ko sparsh karengi, aur kahin-na-kahin aapke vichaaron aur anubhootiyon se judh paayengi. Yadi yah sangrah aapke man mein thodi bhi halchal ya aatma-chintan utpann kar sake, to main apne prayaas ko safal maanoonga.Aapka snehī,Dr. Harish Singh Negi