Loading

Chauhan Umang Kailashbhai

About The Author

Stories By Chauhan Umang Kailashbhai

Shaadi ya samjauta?

  • Author   Chauhan Umang Kailashbhai

Ye kahani hai mumbai mai rahene wale mashur business man Neel kapur aur ek middle class ladki purvi ke pyar ki. Purvi ek journalists thi. Uske liye uska kaam uski jaan se bhi badhkar tha. Purvi ke liye samaj ki kayde, reet rivaj bahut mayne rakhte the. Jab ki neel ke liye kuch maine nahi rakhta tha. Wo sirf aur sirf apne kaam se matlab rakhta tha. Uska kaam hi uski pehchaan thi aur zindagi bhi. Purvi chanchal aur thodi masti karne vali ,hasne wali ladki thi. Jab ki Neel sant aur thoda khadus tha. Wo kabhi bhi bina matlab ke kisi se baat nahi karta tha. Neel aur meera ka nature bahut hi alag tha. Halanki unme ek baat hi common thi ki wo dono anath the. Purvi apne mama mami ke sath raheti thi aur Neel akela. Pyar ki kahaniya to bahut suni hogi aap logo ne, lekin ishq ki ye anokhi dastan kabhi nahi. Neel aur purvi ki shaadi kuch aise mahaul mai hoti hai ki, purvi Neel se nafarat karti hai. Jab ki Neel usse sacche dil se pyar karta hai. Purvi ke liye to ye shaadi sirf ek samjauta thi. Wo naa to neel ko apna pati manti thi aur na hi wo usse pyar karti thi. Lekin Neel sacche man se purvi ko apni patni manta tha. Wo har mushkil mai uska sath deta tha wo bhi bina kisi umeed ke. Aakhir kyu purvi Neel se nafarat karti thi? Kyu use Neel ka sath manzur na tha? Kya Neel apne pyar se purvi ke dil mai uske liya jo nafarat thi uss nafarat ko mita payega? Kya purvi kabhi Neel ko sacche man se apnayegi? Saval bahut sare honge. Unn savalon ke javab janane ke liye aapko padhni hogi puri kahani.

  •   1
  • (0)
  • 0

Loading